aaj us par gyarah manzilein ban gayi hain
din mahine saal guzar gaye
na hum tumhe bhoole, na tumne humein yaad kiya
bagal mein jo buudhi amma rehti thi, wo zara aur buudhi ho gayi hai
unke maathe ki jwo hurriyaan, ab is shehar ki sadko se milne lagi hain
din mahine saal guzar gaye
na hum tumhe bhoole, na tumne humein yaad kiya
chaundhvi ka wo sharmila chaand, ab thoda aur sharmaata hai
baadalon se nikalte nikalte, ab saari raat lagata hai
din mahine saal guzar gaye
na hum tumhe bhoole, na tumne humein yaad kiya
aasmaan ke wo unginat taare, ab dheere dheere mutthi ki ungliyon mein samane lage hain,
mitti se dhake aakash mein, bas kuch hi tim-timate nazar aate hain,
din mahine saal guzar gaye
na hum tumhe bhoole, na tumne humein yaad kiya
wo neem ka ped, jis ki shaak par ek chanchal koyal har subah gungunati thi,
pyaar ke geet wo gaati thi, ab uski awaaz zara madham se aati hai
din mahine saal guzar gaye
na hum tumhe bhoole, na tumne humein yaad kiya
july ka ab mahina hai, baarishein ab thoda intezaar karvaati hain,
pehle june mein badal garajte the, ab neeche dekh bas muskurate hain,
din mahine saal guzar gaye
na hum tumhe bhoole, na tumne humein yaad kiya
aaj hum yahi hain, zindagi hai kuch kadam aage,
un dino ki baat kuch aur thi, jab jeene ki kuch fursat thi,
kuch sukoon sa tha, kuch khushi si thi,
hum tumhare dil mein the, tum hamare,
na bhoolne ki zaroorat thi, na yaad rakhne ki..
ab..
din mahine saal guzar gaye
na hum tumhe bhoole, na tumne humein yaad kiya