Monday, July 18, 2011

na hum tumhe bhoole, na tumne humein yaad kiya..

chaurahe par jis imaarat ki pehli eenth teen saal pehle rakhi thi
aaj us par gyarah manzilein ban gayi hain
din mahine saal guzar gaye
na hum tumhe bhoole, na tumne humein yaad kiya


bagal mein jo buudhi amma rehti thi, wo zara aur buudhi ho gayi hai
unke maathe ki jwo hurriyaan, ab is shehar ki sadko se milne lagi hain
din mahine saal guzar gaye
na hum tumhe bhoole, na tumne humein yaad kiya


chaundhvi ka wo sharmila chaand, ab thoda aur sharmaata hai
baadalon se nikalte nikalte, ab saari raat lagata hai
din mahine saal guzar gaye
na hum tumhe bhoole, na tumne humein yaad kiya

aasmaan ke wo unginat taare, ab dheere dheere mutthi ki ungliyon mein samane lage hain,
mitti se dhake aakash mein, bas kuch hi tim-timate nazar aate hain,
din mahine saal guzar gaye
na hum tumhe bhoole, na tumne humein yaad kiya

wo neem ka ped, jis ki shaak par ek chanchal koyal har subah gungunati thi,
pyaar ke geet wo gaati thi, ab uski awaaz zara madham se aati hai
din mahine saal guzar gaye
na hum tumhe bhoole, na tumne humein yaad kiya

july ka ab mahina hai, baarishein ab thoda intezaar karvaati hain,
pehle june mein badal garajte the, ab neeche dekh bas muskurate hain,
din mahine saal guzar gaye
na hum tumhe bhoole, na tumne humein yaad kiya

aaj hum yahi hain, zindagi hai kuch kadam aage,
un dino ki baat kuch aur thi, jab jeene ki kuch fursat thi,
kuch sukoon sa tha, kuch khushi si thi,
hum tumhare dil mein the, tum hamare,
na bhoolne ki zaroorat thi, na yaad rakhne ki..

ab..
din mahine saal guzar gaye
na hum tumhe bhoole, na tumne humein yaad kiya

wo naya naya pyaar

wo naya naya sa pyaar
subah paanch ki halki baarish mein
dhadakte dil ka meetha izhaar

wo geeli vaadiyon ke beech
guzarte motorcycle ki dheemi raftaar
tumse milne ki wo chaahat, wo pehla pehla khumaar

mudte sadkon se teri baatein karna
udti mitti se teri shikayat karna
fisalti boondon ke moti mahal mein, teri hasi ko karna giraftaar

wo tere shehar ke paas aate hi
dil ka madham madham sulagna
us gali us chaurahe us mod par aate hi,
meri saanson ka ruk jana har baar

wo tere ghar ki gungunati doorbell
wo tere kadmon par bandhe payal ki chehal
teri us hasi ki jhalak, mere ishq ki jo mazaar

wo baatein kuch unkahi si, wo tera muskurana
un raaton ki dooriyon ka, ek pal mein ghul jaana
tere sajde mein guzaarna, lamhe wo chaar

wo pehla pehla khumaar, wo naya naya pyaar....