Sunday, September 20, 2009

Ek pari ki kahani

Background:
A fairy-tale...

Ek pari ki kahani...

Kahin door, is zindagi ke shor se door, rehti thi ek akeli ladki,
Bikhre kesu, tithurte honth, aankhon mein aashayen, resham si parchaiyee thi uski,
din bhar pariyon se karti wo baatein, raaton ko sapno ki nagri mein khoti,
Har karvat par bharti thi aahein, zindagi ko khwabon ke dhaagon se piroti.

Fir ek din aaya, jab aasman mein chaand tha poora, raat thi roshan poonam ki,
Badalon se nikli ek halki si hasi , baarish ki do bheegi boondein bhi barsi,
chaand se nikli titliyon ki ek toli, unke hazaron paron par sawar thi ek pari,
haathon mein lekar jaadoo ki jhadi, titliyon ke rath se wo zameen pe utri.

titliyon ki rangon mein rang gayi wo raat, fir pari ne us ladki se ki baat,
'hain mere paas ek jaadoo ki chadi, poori kar le isse koi tamanna adhoori,
hai ek aas tere mann mein bhi, sapnon se zindagi ki mitale ab doori'
achanak chaand mit gaya falak se, chod gaya pari ki chavi, aur jaadoo ki wo chadi.


ladki ne maanga ki raat mit jaye, din ka ujala kabhi andhere mein kho na paye,
neendon mein kabhi use khwab na aaye, har khwab zindagi mein ghul sa jaaye,
pariyon ki duniya mein wo bhi sama jaye, ek ladki nahi, wo pari ban jaye,
ek titliyon ki toli use bhi mil jaye, rangeen pankhon ke rath par wo bhi sawar ho jaye.

is tarah wo ladki ban gayi ek pari, sunehre kesu, kajrari aankhein, pyaari si hasi,
sitaron ke ujalon mein har pal khoyi rehti, par neendon mein na koi bhi sapna sanjoti,
na leti thi karvatein , na aankhon mein the sapne, apne wo purane din har pal yaad karti,
jab adhoore sapno ko pure karne ki thi aas, raat ke baad aate har savere ki thi pyaas.

pariyon ki raani ne kaha ek upaay hai, agar ban na chahti ho tum fir se ek ladki,
'jao zameen par ek ladki dhoondo, jo banna chahe tujhsi bawari'
fir ek raat aayi poonam ki, pariyon ki duniya se wo zameen par utri,
pahunchi ek nagri ,jahan sapnon mein karvat lete hui mili use ek ladki akeli..

No comments:

Post a Comment