Background:
Zindagi se rubaru hue ... to kya kuch aisa hoga?
Zindagi
ik baar kuch aisa hua
zindagi karvat le rahi thi
maine kaha subah ho chuki hai
jaag jao , hain bahut saare kaam ab bhi baaki,
zindagi ne kaha main thak chuki huun
kaali raat ke afsaane ab tak bujhe nahi
chaandni ki roshni ab bhi dhali nahi
lehron ki mauj ab bhi thami nahi
kyun hota hai har din ek naya savera
suuraj har roz kyun dikhata hai ek naya chehra
wapas aana hi tha to har shaam duubta kyun hai
saagar ki panaah mein roz chupta kyun hai
aana hi tha wapas, to raat ko aane hi na de
raat ka andhera mita deta hai kashish meri
mere andar ki tamanna , jeene ki arzoo bhi..
sapno ki duniya hai haqiqat se bahut haseen
zindagi kyun huun main ? sapno ka aaina kyun nahi ?
No comments:
Post a Comment