Background:
Sometimes, the new mixes with the old, the new trends mix with old traditions... but little do they realise, without each other.. they're incomplete..
Purak..
Wo poochte hain tujh mein aur mujh mein kya hai farak,
Maine kaha, antar to bahut hain, par hum hain ek doosre ke purak.
Wo kehte hain ki main nasha hun, ada hun, tujh mein iski nahi hai jhalak,
Maine kaha main hosh hun, tere mann ka soch huun, main hun tere maathe ka tilak.
Wo kehte hain main chanchal hun , behti nadi hun, tez, jaise saagar ki koi lehar,
Maine kaha tu badlaav hai, par main thehraav hun , aasha huun, jaise har raat ke baad aane wali sehar.
Wo kehte hain kya hai mujh mein aisa jo mujhse jude ho tum,
Maine kaha main teri hasti hoon, hum alag hain , par do rooh jod de, main wo milaap hun…
No comments:
Post a Comment