Sunday, September 20, 2009

Intezaar

Background:
Its the time for parted lovers to meet again.. the wait for the night seems so long... when will the time come for the two of them to meet again , to melt again in each others arms?

Intezaar..

Kitne dino baad aaj fir ye raat aayi hai
Tere intezaar mein jaane kitni baar ye chaandni murjhaayi hai
Zindagi rukh badal badal kar ek baar fir usi mod pe laayi hai
Jaane kitne dino baad aaj fir ye raat aayi hai..

Tere seene mein sar jhukaye wo shaamein bitaayi thi
Tere aankhon ke aaine mein baarishon ki geeli mehndi sajayi thi
Dekha karte the tere aks ko hum kitabon ke har panne mein
Jaane kis panne se aaj ye awaaz aayi hai,
Aaj fir, kitne dino ke baad , wahi raat aayi hai..

Ghar ke purane sidiyon se utarne ki teri aahat yaad hai,
farvari ki sard shaamon mein tera mujhse lipatna yaad hai,
halki os ki wo chaadar jo humare aangan ko odhti thi,
subah subah us chaadar pe tere kadmon ka thirakna yaad hai,
os ki wo boondein aaj fir se samayi hain,
aaj fir , jaane kitne dino baad, wahi raat aayi hai...

Jaane is beech guzar gayi kitni manzilien,
Tera saath to tha nahi -
Par har manzil par tere haathon ka mujhe thaamna yaad hai,
Intezar mein bitaayi hai har raina maine,
Tere khwabon se meri raaton ko sajana yaad hai,
Aaj aankhein na moondi hogi meri, tere sajde ki ghadi aayi hai,
Jaane kitne dino baad, wahi raat aayi hai...

No comments:

Post a Comment